kurukshetra university- कुरुक्षेत्र यूनिवर्सिटी


Kurukshetra University
  • Kurukshetra University Haryana


   Hello Dosto Infoline Uvi Aaj Ham Baat Karenge Kurukshetra University Ke Baare me

    To Chaliye Dosto Aaj Ham Baat Karenge Kurukshetra University ke Baare me Jo Bharat Ke Haryana Me 11 January 1956 Ko Sthapit Kiya gaya he Aur कुरुक्षेत्र यूनिवर्सिटी Ka Campus 473 Acers me Faila Gaya he.

     kurukshetra University ka udghatan Swatantra Bhart ke Pehle Rasthrapati Dr Rajendra em Prasad ne kiya tha. Bharat Ki Rajdhani Delhi se 160 Km Duri Par He Jo Haryana Ke Kurukshetra me he.

        Kurukshetra University me 9 Departments he Jisme Faculty of Life Sciences he, Facility Of Science He Faculty Of Arts he Aur Faculty of Law, Faculty of Engineering and Technology Department he. Uske Saath Is Isme 457 Colleges Aur Institutes Judi Huyi he.

     Ab Kurukshetra युनिवर्सिटी me admission process kya hoti he wo ham Batayenge.

Admission


       1. Bsc Admission Ke liye Hsc(science) me 50%. Marks Jaruri Hota he Aur Merit Based aapko Admission milta he
       2. Msc ke Liye 50% marks ke Saath bsc me graduate hone ke baad Entrance Test Cum Merit Based Par Aapko Admission Milta he aur isi tarah baki sab department me process hoti he.

Rating

        Kurukshetra University Bharat ke Pramukh Sekshanik Sansthao me se ek he jo apne aadhe se adhik Chhatro ko Uchha Sikhsha Pradan kar raha he Aur Uski Pratibadhat par NAAC Dwara A+ Rating (Grade) Diya Gaya he Aur Manav Sansadhan Mantralay MHRD Dwara 1 Shreni me desh Ki University me 8ve Number par Rakha gaya he.

Infrastructure

        Ham baat kare University Infrastructure ki to University ke Campus ko Bharat ke Sab Se Khubsurat Campus me se ek Mana Jata he Yaha Lecture Theatre, Smart Classroom, Wi-Fi Campus, 24 Ghante ki Library Suvidha, Pryogshala, campus Hostel, Cafeteria, Canteen, Matket, Swimming pool, Bank, ATM, Gym Jesi Suvidha he.

      Yaha Vishwa Striya Khel Suvidha he Aur Paryavaran Ka Ek Namuna he Yaha Hare Bhare Udhan Paani ke Favvare Aur Footpath he. Yah Ek Shaikshanik Gav Jesa Dikhta He Aur Bahut hi Badhiya Infrastructure he.

Comments

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comments box.